Hazrat Faz el e Rehman Gunj Muradabadi
Rahmatullah Alayh
Aap ki wiladat basaadat Hazrat Rehmat Allah Myian Ke mutabiq 1208 Hijri ko Sandhela mein hui. Nawab Syed Noor ul Hassan Majmoa Al Rasials mein likhte hain kay aap ke waalid e Majid Hazrat Shah Ahal Ullah Hazrat Shah Abdul Rahman lakhnavi ke mureed thay aur aap ka naam Hazrat Shah Abdul Rahman ne Faz el e Rehman rakha .
Aap ke naam mubarak mein alif aur laam nahi hai. Is ki wajah yeh hai kay is se aap Rahmatullah Alayh ka sun wiladat ba saadt nikalta hai. Yani tareekhi naam hai. Huroof e Abjad ke mutabiq lafz fazal ke kul adaad 910 hotay hain yani fe ke Adad 80, z ke Adad 800 Aur l- ke Adad 30 hotay hain. Isi terhan lafz Rehman ke kal adaad 298 hotay hain yani re ke 200, he ke 8, meem ke 40 Aur noon ke 50 Adad hotay hain. Ab agar 910 mein 298 ko jama karen to kal adaad 1208 bantay hain jo kay Hazrat Faz el Rehman Ganj Muradabadi Rahmatullah Alayh ka sun e wiladat hai .
Molvi Tajammal Hussain sahib Fazal e Rahmani mein likhte hain kay aap Mallawan mein sarrak par larkoon ke sath kuch khail mein mashgool thay kay gari aye aur iss ka aik pahiyah asp Rahmatullah Alayh ke jisam aur sar kay uopar se guzar gya jis se asp Rahmatullah Alayh ke kaan ka kaafi hissa kat gaya magar jaan bach gayi .
Bachpan mein aik martaba aap apne waalid ke sath Mallawan se chalay aap ke waalid ke haath mein aik pinjra tha jis mein toti tha. Rastay mein aas paas kakun ke darakht khasi tadaad mein mojood thay. Jaisay hi totay ne kakun ke dekhe to tin tin karne laga. Aap ke waalid ne kakun ke darakht ka aik khosha toor kar janwar ko pinjra mein day diya, Molana Fazal e Rehman ne mana kya. Aap ke waalid ne is ko khafeef samajh kar is ko nahi mana aur chalay gaye. Jab aap Rahmatullah Alayh ke waalid bees pachees qadam chalay gaye tu dekha ke Molana Fazal e Rehman mere peechay nahi hain. Balkay wahein khait par kahrhe hain. Pukara ke aao kiyon kharray ho. Aap Rahmatullah Alayh farmay ke ne jab is khait ka maalik ka aaye ga to is se maaf kara ke aon ga kay khosha hamaray pinjra mein hai. Aap Rahmatullah Alayh ke waalid ne kam suni ke sabab se asay nahi chora aur kaha kay lo hum nahi jatay hain, pinjra khol kar khosha ko pinjre se bahir phaink diya. Tab asp Rahmatullah Alayh wahan se tashreef le gaye .
Nawab Syed Noor ul Hassan Isarar e Mohabbat mein likhte hain kay aik dafaa aik peer zada asp Aap Rahmatullah Alayh ki khidmat mein hazir hwa asp Aap Rahmatullah Alayh ko dekh kar be hosh ho gaya. Thori der baad jab hosh mein aaya to Hazrat Molana Fazal e Rahman Rahmatullah Alayh ne poocha kya baat thi kehnay laga kay mein ne aap Aap Rahmatullah Alayh ke paas Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ko dekha hai. Aur Anhazrat Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam Ka jamal dekh kar be hosh ho gaya tha. Hazrat Molana Fazal e Rahman Rahmatullah Alayh ne kaha kay bas aik jhalak mein yeh haal ho gya hai .
Hazrat Molana Fazal e Rahman Rahmatullah Alayh farmatay hain kay mujhe larakpan mein Anhazrat Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam aur Sahaba karam Razi Allah Tala Anhu Ki ziyarat huwa karti thi .
22 Rabiey al-awwal1323 Hijri ko aap Rahmatullah Alayh dar e fani se rukhsat ho gaye. Aap ka mazaar shrif Ganj Muradbad India mein hai jahan daur daur se log Faiz haasil karne ke liye hazir hote hain .
Hazrat Molana Fazal e Rahman Rahmatullah Alayh se be shumaar ulma aur mushaik ne hadees pak ka dars lia aur rohani tarbiyat bhi haasil ki. Asp Rahmatullah Alayh ki be shumaar karamaat hain jin ke liye yeh safhaat na kafi hain.